Romeo Must Die (Dil Ke Jharokhe Mein) | The Gunsmith

Romeo Must Die (Dil Ke Jharokhe Mein) | The Gunsmith

The Gunsmith | 52291 Listens

play_arrow Play
file_download
playlist_add Add To
favorite_border

Lyrics

“A high-energy rap/rock version of the classic Mohammad Rafi track from Brahmachari. This is the tragic story of a smart and promising young student who ruins his life by falling for a girl who’s not right for him. The Gunsmith tells this powerful rap story on top of a hard rock music production of his own, and also handles the singing. This is the second track from The Gunsmith’s new project – The Rap Storybook.”

Lyrics:-
“Dil ke jharokhe mein tujkho bitha kar
Yaadon ko teri main dulhan bana kar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas

Purani dilli ki purani gali mein do ghar chhod ke rohit-Manisha rehte the
Dono the 17 ke aur dono paas vaale school mein bhi saath mein padhte the
Rohit anaath tha, bua sang rehta tha, popular nahin phir bhi school mein tha topper
Manisha ki uniform kuch zyada tight rehti thi, skirt ki length bhi kabhi na hoti thi proper
Class mein Manisha aati thi model ki tarah, sab ladke bas chhoote the aankhon se
Par Rohit like karta tha use izzat se, bas khwahish thi “mera haath le vo haathon mein”
Ik din voh bua ke ghar ki chhat pe padh raha tha, aur tab nazar bhatak gayi thi
Manisha pados mein apne kamre mein bina parde giraye kapde pehen rahi thi
Isse pehle ki voh nazar churata, Manisha ne dekh liya rohit ko chhat pe
Chilla ke usne phir parde giraye aur rohit ka dil tab khoono khoon hua phhat ke
Agle din class mein sharminda ho ke usne kaha “ummeed hai ki bura na manogi
galti se dekha tha, aisa nahin hoon main, mujhse tum dosti karogi to janogi”
Vo sun ke hasi, boli “theek hai, kal birthday hai mera tum aa jaana ghar pe”
Rohit ke dil se tab khoon behna band hua, chehre pe smile aayi, lekin dar dar ke
Manisha ke ghar jab gaya… to dekha ki classmates aaye hue the poore tettis
has rahe the saale, rohit ki photo lagi thi, uske neeche likha tha rapist

Dil ke jharokhe mein tujkho bitha kar
Yaadon ko teri main dulhan bana kar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas

Dil ke jharokhe mein tujkho bitha kar
Yaadon ko teri main dulhan bana kar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas

Do hafte hue us baat ko, rohit ka ab to man bhi nahin lagta padhai mein
Chhat pe khada rehta hai soche shayad sharam dhul jaayegi baarish ki safai mein
Aisi mayoosi thi ek din jab rohit ko chhat pe sunayi de cheenkh
Laga Manisha hai, dekha uske ghar ki taraf to shak nikla theek
Manisha ke papa the army mein major, height thi lambi, aur kaafi garam tha lahu
Subha unse ek aunty milne aayi thi, boli major sahab apse kaise kahoon
Kal main mandir se nikli to purani haveli ke peeche se aayi avaaz
Dekha to Manisha ek ladke ke sang kar rahi thi aapki izzat ka satyanash
Suna to major ka uda dimaag, subha se le kar ab tak Manisha ki shamat
Rohit ne saara chillaana suna unke ghar ke aage chhup kar, bina kare aahat
Itne mein major bandook le kar aaya, bola “beti aaj teri uthegi arthi”
Rohit andar ghusa, jhoot bola “main tha voh ladka aur maine kari thi zabardasti
Manisha nirdosh hai, jaane do ise”, tab major ko yaad aaya kaun hai yeh ladka
“Oh achha tu to voh rapist hai jisne meri ladki ko chheda tha hata ke parda
Zaroor tune rape kiya hoga” keh ke rohit ko shoot kiya dil pe na chhodi gunjaish
Manisha ne rote hue uska haath pakda, aur rohit bola ki bas poori hui khwahish

Kal tere jalve paraye bhi honge
Lekin jhalak mere khwabon mein hogi
Phoolon ki doli mein hogi tu rukhsat
Lekin mahak meri saanson mein hogi

Meri mohabbat ko thukra de chahe
Main koi tujhse na shikva karonga
Aankhon mein rahti hain tasveer teri
Saari umar teri pooja karoonga

Dil ke jharokhe mein tujkho bitha kar
Yaadon ko teri main dulhan bana kar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas

Dil ke jharokhe mein tujkho bitha kar
Yaadon ko teri main dulhan bana kar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas”

Original Song Credit

Singer: Mohammad Rafi
Music: Shankar Jaikishan
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Film: Brahmachari (1968)

Cover Song Credit

Vocals: The Gunsmith
Music Production & Lyrics: The Gunsmith
Mixing and Mastering: The Gunsmith