Still Alive (Meri Mehbooba) | The Gunsmith Ft. Abhinandita

Still Alive (Meri Mehbooba) | The Gunsmith Ft. Abhinandita

The Gunsmith | 3030 Listens

play_arrow Play
file_download
playlist_add Add To
favorite_border

Lyrics

“A haunting, supernatural story of a man who falls in love with the legendary actress Madhubala, decades after she has already passed away. Is it possible to have a mysterious connection with a historical figure? The Gunsmith tells this mind-bending story while fusing it with the classic 90s track, Meri Mehbooba from Pardes. The lyrics of that song take on an eerie new meaning within the context of this story. The Gunsmith is supported by singer Abhinandita, a new artist who knocks it out of the park in her very first music video. This is the third track from The Gunsmith’s project – The Rap Storybook.”

“Kisi roz phir se mulaqat hogi (Yeah)
Teri jaan us din tere saath hogi (It’s The Gunsmith)

(Featuring Abhinandita…. Still Alive)

(Reach into the depths of your heart
To find memories you forgot existed)

VERSE 1
2010 ki baat hai, Mumbai ke monsoon the
David bahar dekh raha tha khidki se flat ke drawing room mein
National park ke upar gehre neele aasmaan mein
Dhoondhe vo kisi ki aankhon ko, jo aayi nahin saamne
Par jab bijli chamki, khidki mein dikha khud ka hi aks
Agle din office mein computer screen aage baitha yeh shaks
Us din German client ke liye David software likh raha tha
Raat ke aath baj gaye, sab log ghar gaye, sooraj chhip gaya tha
Upar vaale office mein Julie PowerPoint bana rahi thi
Time dekha to chaunki, khaali building mein ghabra gayi thi
Par jab nichli floor pe David mila to use chain aaya
Socha uski kismat mein kahin se “handsome man” aaya
David ko lagi Julie ki figure tennis star jaisi
Smile bhi uski lagi akelepan ki pukar jaisi
Building mein aur koi nahin yeh ikkatthe ehsaas hua
Pagalpan sa chadha dono ko aur phir kuchh khaas hua
Us kuchh ke baad voh David ke ghar gaye, socha so lenge
par neend na aayi to dono baith gaye TV ke aage sofe pe
TV pe Mughal-e-azam film, Madhubala udaas thi
David ko tab dikhi voh aankhein jinki use talaash thi
David ne Julie ko gaur se dekha tab mooh modh ke
Chehra madhubala ke jaisa tha bas aankhon ko chhod ke
Socha kaash Julie ki aankhen badal sakta kisi machine mein
Madhubala us pal naachte hue ruk gayi gusse mein screen pe

CHORUS
Kisi roz phir se mulaqat hogi
Teri jaan us din tere saath hogi
Hai banjar jiya par, haan barsaat hogi
Tera dil hai pyasa, tera dil akela

Tadap kar aayegi voh, tujhe mil jaayegi voh
Teri mehbooba
Bhale tasveer hai voh, teri taqdeer hai voh
Teri mehbooba
Teri mehbooba (x5)

VERSE 2
Pyaar mein doob kar Julie aksar ghar jaane lagi yaar ke
Agli bar Madhubala ka bada poster tha deevaar pe
David ne Julie ko poster ke saamne le jaa kar chooma
Phir “ek ladki bheegi bhaagi si” stereo pe baja kar jhooma
Julie ko godh mein bitha ke “chalti ka naam gaadi” dekhi
Madhubala ka scene dhyan se dekha jaise vo bhi mudh kar dekhegi
David hil gaya tha thoda, Julie ko ab toh yeh lagne laga
Sochi mere zariye yeh murda aurat pe marne laga…
Boli David tum haqeeqat mein laut aao zara…
Is bhram ko todo, mujhe aise na darao zara
Main tumhein chahti hoon, socha tha ke tum acche ho
Par tum filmon ko sach samajh ke baithe, jaise bacche ho
David sunn ke serious ho gaya, bola I’m so sorry babe
Neend ki zaroorat hai mujhe, kal tak ho jaoonga normal babe
Julie gayi toh David ne dekha ki baarish aa rahi thi
Aur aasmaan se phir use kisi ki aankhen bula rahi thi
Us raat vo kabristan gaya jahan pe madhubala dafan thi
Par vahan koi bola hava hi ab madhubala ki kafan thi
6 maheene pehle hi kaee kabrein todi gayi
Zameen ke liye, madhubala ki kabr bhi na chhodi gayi
David ne rote hue socha marne ke baad use dhoondhoonga
Use chahunga sanjh savere par avaaz main na doonga
Agle din Julie ko ghar bula ke candlelight sajai thi
Aur madhubala poster ne kasam se aankhen hilai thi

CHORUS
Tadap kar aayegi voh, tujhe mil jaayegi voh
Teri mehbooba
Bhale tasveer hai voh, teri taqdeer hai voh
Teri mehbooba
Teri mehbooba (x5)”

Original Song Credit

Song :- Meri Mehbooba
Singer: Kumar Sanu & Alka Yagnik
Music: Nadeem Shravan
Lyrics: Anand Bakshi
Film: Pardes (1997)

Cover Song Credit

Song Title :- Still Alive (Meri Mehbooba)
Vocals: The Gunsmith & Abhinandita
Music Production & Lyrics: The Gunsmith
Mixing and Mastering: The Gunsmith