Strangers (Pardesiyon Se Na) | The Gunsmith Ft. Kirti J

Strangers (Pardesiyon Se Na) | The Gunsmith Ft. Kirti J

| 1709 Listens

play_arrow Play
file_download
playlist_add Add To
favorite_border

Lyrics

“An old classic tune is revamped in this intriguing rap rendition. This is a dark story of crime and karma, full of twists and turns, told on top of an infectious beat. The Gunsmith’s vocals and Kirti J’s voice transport us to the small town where the tale unfolds…
This is the first track from The Gunsmith’s new project – The Rap Storybook.”

“Chhota sheher, thandi raat, aur toofan mein
Aaya ek ladka par na aaya pehchan mein
Naam uska jack tha, haath mein black bag tha
Shirt pe khoon ka daag, shirt pe khoon ka daag
Karke aaya attack tha, ya jaan bacha ke
Kisi ko na khabar jab vo club mein aaya ladkhadaa ke
Sabne dekha ek baar, phir ignore kiya
Lekin lucy ne chehre se baal hata ke gaur kiya, hmm
Lucy 24 saal ki bartender lagti 15 ki
Jab jack uske saamne jaake baitha to voh ghabra gayi
Maanga jack ne usse something strong with barf on top
Lucy boli tera khoon beh raha hai non stop
Tab vo private kamre mein use le gayi dene first aid
Jack ne socha marna hi hai try maarta hoon girl pe
Dekha na koi ring na koi sindoor hai iski maang mein
Phir dekhi ek chhupi revolver bandhi uski taang pe

Pardesiyon se na ankhiyan milana
Pardesiyon se na ankhiyan milana
Pardesiyon ne hai tumko rulaana
Pardesiyon se na ankhiyan milana

Isse pehle ki mr. Jack kuch karte
Lucy ne ghuma ke mari pistol uske sar pe
Jack gira farsh pe chillaya bade dard se
Lucy ne dabocha kaala bag bade garv se (garv se)
Jack ro ke bola kismat ne kaisa khel kiya
Jis ladki se bag chheena tha, usko tha dhakel diya
Seediyon se neeche giri voh, par main to bhaag gaya
Bhaagte hue baarish mein gira, aur pet mein kaanch gaya
Uske baad tu mili ab yahaan phasa
Shayad us ladki ko marne ki paa raha hoon saza
Lucy ne na suna, boli meri behen crorepati hai sacchi
Gucci bag leke phirti, mujhko kuch na samajhti
Socha main bhi loongi chahe tera katal kiya
Tab chalai goli (bang) aur jack ka kissa khatam kiya
Par jab bag khol ke dekha to achanak Lucy sehem gayi
Bag khol ke dekha, id nikli uski behen ki

Pardesiyon se na ankhiyan milana
Pardesiyon se na ankhiyan milana
Pardesiyon ne hai tumko rulaana
Pardesiyon se na ankhiyan milana”

Original Song Credit

Singer: Mohammad Rafi
Music: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Anand Bakshi
Film: Jab Jab Phool Khile (1965)

Cover Song Credit

Music Production & Lyrics: The Gunsmith
Mixing and Mastering: The Gunsmith