Abhi Mujh Mein Kahin | Cover | Aabhas & Shreyas Joshi

Abhi Mujh Mein Kahin | Cover | Aabhas & Shreyas Joshi

Shreyas Joshi | 2897 Listens

play_arrow Play
file_download
playlist_add Add To
favorite_border

Lyrics

Listen to this beautiful cover of Abhi Mujh Mein Kahin by Aabhas & Shreyas Joshi.

Lyrics :-
Abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi jaana
Zinda hoon main toh abhi
Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Ya ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara

Hoo abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi

Hoo dhoop mein jalte hue
Tann ko chhaya pedh ki mil gayi
Roothe bacche ki hansi
Jaise phuslaane se phir khil gayi
Kuch aisa hi ab dil ko
Mehsoos ho raha hai
Barson ke puraane zakhmon
Pe marham laga sa hai
Kuch aisa rehem iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Ya ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara

Dor se tooti patang
Jaisi thi yeh zindagaani meri
Aaj hoon kal ho mera na ho
Har din thi kahaani meri
Ek bandhan naya peeche
Se ab mujhko bulaaye
Aane wale kal ki kyun
Fikar mujhko sataa jaaye
Ik aisi chubhan iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Khushiyaan choom
Loon ya ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara.

Original Song Credit

Original Credits
Composer : @AjayAtulOnline
Singer : @sonunigam
Lyricist : #amitabhbhattachary

Cover Song Credit

Aabhas Shreyas