Arijit Singh’s (Medley Performance) At GIMA 2016 Awards

Arijit Singh’s (Medley Performance) At GIMA 2016 Awards

Arijit Singh | 22932 Listens

play_arrow Play
file_download
playlist_add Add To
favorite_border

Lyrics

Listen & Cherish to this Awesome and Beautiful medley performance of ARIJIT SINGH at the GIMA awards 2016.

List Of Songs :-
– Janam Janam
– Bolna
– Yeh Fitoor Mera
– Agar Tum Saath Ho
– Judaai (Badlapur)
– Soch Na Sake
– Aayat

Lyrics :-
“Janam janam janam saath chalna yunhi
Kasam tumhe kasam aake milna yahin
Ek jaan hai bhale do badan ho judaa
Meri hoke humesha hi rehna
Kabhi na kehna alvida

Meri subah ho tumhi aur tumhi shaam ho
Tum dard ho tum hi aaraam ho
Meri duaaon se aati hai bas ye sadaa
Meri hoke humesha hi rehna
Kabhi na kehna alvida

Teri baahon mein hai mere dono jahaan
Tu rahe jidhar meri jannat wahin
Jal rahi agan hai jo ye do tarfa
Na bujhe kabhi meri mannat yahi
Tu meri aarzu, main teri aashiqui
Tu meri shayari, main teri mausiqi

Talab talab talab bas teri hai mujhe
Nason mein tu nasha banke ghulna yunhi
Meri duaaon se aati hai bas ye sadaa

Meri subah ho tumhi aur tumhi shaam ho
Tum dard ho tum hi aaraam ho
Meri duaaon se aati hai bas ye sadaa

(Chhuteya na chhute mose
Rang tera dholna
Ik tere baajo dooja
Mera koi mol na
Bolna mahi bolna
Bolna mahi bolna)-2

Tere liye aaya main toh
Tere sang jaana
Dholna ve tere naal
Jindri bitavaan

Kadi naiyo chhodna
Ishq di dor na
Saare chhad jaayen maahi
Tu na chhodna
Bolna mahi bolna
Bolna mahi bolna

Chhuteya na chhute mose
Rang tera dholna
Ik tere baajo dooja
Mera koi mol na
Bolna mahi bolna
Bolna mahi bolna

Zindagi ne ki hai kaisi saazishein
Poori hui dil ki wo farmaishein
Maangi duaa ek tujh tak jaa pahunchi
Parvardigara
Kaisi suni tune meri khamoshi
O parvardigara

Ye fitoor mera laaya mujhko hai tere kareeb
Ye fitoor mera rehmat teri
Ye fitoor mera maine badla re mera naseeb
Ye fitoor mera chaahat teri
O parvardigara, parvardigara

Pal bhar thahar jaao
Dil ye sambhal jaaye
Kaise tumhe roka karun
Meri taraf aata har gham phisal jaaye
Aankhon mein tum ko bharun
Bin bole baatein tumse karun
‘gar tum saath ho..
Agar tum saath ho

Teri nazron mein hai tere sapne
Tere sapno mein hai naraazi
Mujhe lagta hai ke baatein dil ki
Hoti lafzon ki dhokebaazi
Tum saath ho ya na ho kya fark hai
Bedard thi zindagi bedard hai
Agar tum saath ho
Agar tum saath ho

(Chadariya jheeni re jheeni
Chadariya jheeni re jheeni
Aankhein bheeni ye bheeni ye bheeni
Yaadein jheeni re jheeni re jheeni)-2

Gair sa hua khud se bhi, na koi mera
Dard se karle chal yaari, dil ye keh raha
Kholun jo baahein, bas gham ye simat rahe hain
Aankhon ke aage lamhe ye kyun ghat rahe hain
Jaane kaise koi sehta Judaaiyaan.

Chadariya jheeni re jheeni re jheeni re
Aankhein bheeni ye bheeni ye bheeni
Yaadein jheeni re jheeni re jheeni (x2)
Chadariya jheeni re jheeni
Chadariya jheeni re jheeni

Tenu itna main pyaar karaan
Ek pal vich sau baar karaan
Tu jaave je mainu chhad ke
Maut da intezaar karaan

Ke tere liye duniya chhod di hai
Tujhpe hi saans aake ruke
Main tujhko kitna chahta hoon
Ye tu kabhi soch na sake (x2)

Tujhe yaad kar liya hai
Aayat ki tarah
Kaayam tu ho gayi hai
Rivayat ki tarah

Tujhe yaad kar liya hai
Marne talak rahegi
Marne talak rahegi
Tu aadat ki tarah

Tujhe yaad kar liya hai
Aayat ki tarah

Mere dil ki raahaton ka tu
Zariya ban gayi hai
Teri ishq ki mere dil mein
Kayi Eid mann gayi hai

Tera zikr ho raha hai
Tera zikr ho raha hai
Ibaadat ki tarah

Tujhe yaad kar liya hai
Aayat ki tarah”

Original Song Credit

- Janam Janam
Singers: Arijit Singh, Antara Mitra
Lyrics: Amitabh Bhattacharya
Music: Pritam

- Bolna
Singer: Arijit Singh, Asees Kaur
Music: Tanishk Bagchi
Lyrics: Dr. Devender Kafir

- Yeh Fitoor Mera
Singer: Arijit Singh
Lyrics: Swanand Kirkire
Music: Amit Trivedi

- Agar Tum Saath Ho
Singers: Alka Yagnik, Arijit Singh
Music: A.R. Rahman
Lyrics: Irshad Kamil

- Judaai (Badlapur)
Singers: Arijit Singh, Rekha Bhardwaj
Music: Sachin-Jigar
Lyrics: Priya Saraiya, Dinesh Vijan

- Soch Na Sake
Singers: Arijit Singh, Tulsi Kumar
Music: Amaal Malik
Lyrics: Kumaar

- Aayat
Singer: Arijit Singh
Qawwali Vocals: Mujtaba Aziz Naza, Shahdab Faridi, Altamash Faridi, Farhan Sabri
Lyrics: A.M Turaz

Cover Song Credit

GIMA Awards 2016