Breathless Paryushan 2.0 | Cover | Rishabh Sambhav Jain

Breathless Paryushan 2.0 | Cover | Rishabh Sambhav Jain

Rishabh Sambhav Jain | 432 Listens

play_arrow Play
file_download
playlist_add Add To
favorite_border

Lyrics

Listen to this beautiful Breathless Paryushan 2.0 by Rishabh Sambhav Jain.

Lyrics :-
Ab jo phir se paryushan aaye hain
Kesar kesar aur gulaabi jahan mehkaaye hain
Megh dhara par, rimjhim rimjhim
Ghir ghir ghir ghir, ghir ghir aaye hai

Jaise patjhad mein, kaliyaan aayi
Aandhi mein di, naav dikhai
Jaise kisi bhule ne rasta paaya
Jaise kahin varshon puraana koi saathi
Phir ik bar ho, milne ho aaya

Phir se tapasya ki, ladiyaan lagengi
Karmon ki phir se, kadiyaan katengi
Dil se dil ki, baat chidengi

Aisa parva jo kshama sikhlaye
Satya ahinsa ka, bigul bajaye
Jeev daya, karuna samjhaye
Pal pal, har pal
Neer sa behta – kal kal kal kal
Ghunghroo sa baaje – chan chan chan chan

Jag sara kesar kesar mehke
Teeno lok mein khushiyaan chehke
Man mera behke zor se kehke
Paryushan phir laut ke aaye hain – jagmag jagmag
Chaaron dishaaein dulhan si lage – sundar sundar

Shaakh se pedon ka rang khila ho jaise
Sukh ki koi lehar uthi ho jaise, ghane andhere si, raat miti ho jaise
Chand zameen par aakar bikhra
Suraj jaise aur ho nikhra
Jaise kisi panchi ne pehli baar udaan lagai
Paryushan ki jo ghadiyaan aai, aisa lage jaise phir jaan mein jaan aai
Dil mein phir se umangein chhai
Zakhmo ne jaise phir raahat paayi

Bhavon bhavon se bhatak rahe the
Aatma shanti ko taras rahe the
Raag dwesh mein jhulas rahe the
Jaane anjaane sahi Karm kiye phir
Kismat se Mahaveer mile phir
Kismat se hum jain bane phir

Jeevan ne naya mod liya phir
Veer se naata jod diya phir
Nikal pade phir ek safar mein
Moksha matra bas ab hai nazar mein
Lobh se krodh se khud ko bachana hai,
Veer ko dhyaana hai
Bair kisi se ab nahin karna hai,
Prem daya karuna se hi jeena hai aur marna hai, phir se jain mujhe banna hai

Hoke deewana dil jhoom raha hai
Charan prabhu ke dhundh raha hai
Chaaron dishaon mein gunj raha hai
Trishla nandan, bhav dukh bhanjan
Sohe Nirvikar Niranjan
Vani jaise kesar chandan
Swarg se utre jaise sitaare
Khil utthi hain saari baharein
Chehek rahe hain jaise panchi saare
Dev bhi jinke charan pakhare
Parvon mein paryushan pyaare

Original Song Credit




Song : Breathless
Movie : Rehna hai tere dil mein
Singer : Shankar Mahadevan
Music : shankar ehsaan loy
Lyricist : Javed Akhtar
Label : Saregama

Cover Song Credit

Title - Breathless paryushan Duet by RSJ
Singer & Lyricist - RSJ (Rishabh Sambhav Jain)
Programmer & Mixing Mastering - Swapnil Tare
Video - Lenstter